harim-e-dil mein agar teri justuju karte
harīm-e-dil meñ agar terī justujū karte
na but-kade kī na kā'be kī aarzū karte
ḳhudā ke vāste de ab to jaam ai saaqī
zabān suukh ga.ī hai subū subū karte
kisī ke 'ishq meñ jal jal ke ḳhaak ho jaate
basān-e-sham’ na ham sharh-e-ārzū karte
tumhārā jalva to dekhā tumheñ nahīñ dekhā
tamām sarf huī 'umr justujū karte
zabāñ ko roknā thā iḳhtiyār meñ un ke
na ban paḌī thī jo muusā se guftugū karte
kabhī to hairat-e-dil ham se pūchh letā tū
tujhī se ham tire milne kī aarzū karte
ye sach hai vo hameñ 'rāfat' zarūr mil jaate
agar talāsh qarīb-e-rag-e-gulū karte
harim-e-dil mein agar teri justuju karte
na but-kade ki na ka'be ki aarzu karte
KHuda ke waste de ab to jam ai saqi
zaban sukh gai hai subu subu karte
kisi ke 'ishq mein jal jal ke KHak ho jate
basan-e-sham’ na hum sharh-e-arzu karte
tumhaara jalwa to dekha tumhein nahin dekha
tamam sarf hui 'umr justuju karte
zaban ko rokna tha iKHtiyar mein un ke
na ban paDi thi jo musa se guftugu karte
kabhi to hairat-e-dil hum se puchh leta tu
tujhi se hum tere milne ki aarzu karte
ye sach hai wo hamein 'rafat' zarur mil jate
agar talash qarib-e-rag-e-gulu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.