harim-e-jabr mein KHamosh bhi raha na gaya
harīm-e-jabr meñ ḳhāmosh bhī rahā na gayā
safīr-e-shab ko naqīb-e-sahar kahā na gayā
ajiib kaifiyat-e-karb hai fazāoñ meñ
guloñ ne bārhā chāhā magar hañsā na gayā
shab-e-sitam kā bayāñ jurm hī sahī kiije
gumāñ na ho ki sar-e-bazm kuchh kahā na gayā
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-sāqī kī ḳhair rindoñ meñ
kahīñ bhī tazkira-e-tishnagī sunā na gayā
dayār-e-ishq hai goyā dayār-e-karb-o-balā
yahāñ se uTh ke koī dard-āshnā na gayā
ajab tarah ke musāfir the ham ki baiTh rahe
bhaTak ke raah se do gaam bhī chalā na gayā
hazār marhala-e-jabr se hue do-chār
dil-e-'shamīm' se jiine kā hausla na gayā
harim-e-jabr mein KHamosh bhi raha na gaya
safir-e-shab ko naqib-e-sahar kaha na gaya
ajib kaifiyat-e-karb hai fazaon mein
gulon ne barha chaha magar hansa na gaya
shab-e-sitam ka bayan jurm hi sahi kije
guman na ho ki sar-e-bazm kuchh kaha na gaya
KHayal-e-KHatir-e-saqi ki KHair rindon mein
kahin bhi tazkira-e-tishnagi suna na gaya
dayar-e-ishq hai goya dayar-e-karb-o-bala
yahan se uTh ke koi dard-ashna na gaya
ajab tarah ke musafir the hum ki baiTh rahe
bhaTak ke rah se do gam bhi chala na gaya
hazar marhala-e-jabr se hue do-chaar
dil-e-'shamim' se jine ka hausla na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.