haris-e-shab kabhi aasuda-e-sahar na hua
harīs-e-shab kabhī āsūda-e-sahar na huā
ye kārobār-e-havas hai jo muḳhtasar na huā
kisī se ho na sakā ḳhud-gazīdgī kā ilaaj
ye zahr vo hai ki tiryāk kā asar na huā
sabhoñ ko bhuul gayā kārobār-e-hastī meñ
maiñ apne aap se ik pal bhī be-ḳhabar na huā
jo aaj tak mire lams-e-qalam se hai mahrūm
vo harf harf to hai harf-e-mo'tabar na huā
ajiib baat hai patthar pe rah gayā mahfūz
vo naqsh-e-pā jo kabhī naqsh-e-rahguzar na huā
thakan se chuur the rukte to phir qayāmat thī
bhalā huā jo kahīñ sāya-e-shajar na huā
vo aadmī jo maqām-e-bashar samajh na sakā
tamām umr farishta rahā bashar na huā
ḳhudā-parastī nahīñ hai to ḳhud-parastī sahī
magar jabīñ ko mirī zauq-e-sañg-e-dar na huā
use ḳhayāl thā tashkīl-e-jāda-e-nau kā
kisī ke saath vo āmāda-e-safar na huā
haris-e-shab kabhi aasuda-e-sahar na hua
ye karobar-e-hawas hai jo muKHtasar na hua
kisi se ho na saka KHud-gazidgi ka ilaj
ye zahr wo hai ki tiryak ka asar na hua
sabhon ko bhul gaya karobar-e-hasti mein
main apne aap se ek pal bhi be-KHabar na hua
jo aaj tak mere lams-e-qalam se hai mahrum
wo harf harf to hai harf-e-mo'tabar na hua
ajib baat hai patthar pe rah gaya mahfuz
wo naqsh-e-pa jo kabhi naqsh-e-rahguzar na hua
thakan se chur the rukte to phir qayamat thi
bhala hua jo kahin saya-e-shajar na hua
wo aadmi jo maqam-e-bashar samajh na saka
tamam umr farishta raha bashar na hua
KHuda-parasti nahin hai to KHud-parasti sahi
magar jabin ko meri zauq-e-sang-e-dar na hua
use KHayal tha tashkil-e-jada-e-nau ka
kisi ke sath wo aamada-e-safar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.