Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras

Iqbal Mahir

hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras

Iqbal Mahir

MORE BYIqbal Mahir

    hasb-e-ma.amūl aa.e haiñ shāḳhoñ meñ phuul ab ke baras

    saya-afgan haiñ magar un par babūl ab ke baras

    is tarah badlā mohabbat usuul ab ke baras

    ham bhī haiñ maġhmūm tum bhī ho malūl ab ke baras

    jhoñpaḌoñ se kaT ke chāñdī ke bagūle chal diye

    baalā baalā uḌ ga.ī sone dhuul ab ke baras

    itne ġham itne masā.il itne unvān-e-soḳhan

    hai judā har sher shān-e-nuzūl ab ke baras

    kaT ga.iiñ sadiyāñ isī mauhūm ummīd par

    āsmāñ se hogā rahmat nuzūl ab ke baras

    miT ga.ī tahrīr-e-qismat uTh ga.e anjum-shanās

    aql ḳhud kartī hai tadbīr-e-husūl ab ke baras

    inqilāb-āsār hai raftār māh-o-sāl

    kuchh to badlegā zamāne usuul ab ke baras

    hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras

    saya-afgan hain magar un par babul ab ke baras

    is tarah badla mohabbat ka usul ab ke baras

    hum bhi hain maghmum tum bhi ho malul ab ke baras

    jhonpaDon se kaT ke chandi ke bagule chal diye

    baala baala uD gai sone ki dhul ab ke baras

    itne gham itne masail itne unwan-e-soKHan

    hai juda har sher ki shan-e-nuzul ab ke baras

    kaT gain sadiyan isi mauhum si ummid par

    aasman se hoga rahmat ka nuzul ab ke baras

    miT gai tahrir-e-qismat uTh gae anjum-shanas

    aql KHud karti hai tadbir-e-husul ab ke baras

    inqilab-asar hai raftar mah-o-sal ki

    kuchh to badlega zamane ka usul ab ke baras

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now