hasin aankhon mein aansu bhar gaya to
hasīñ āñkhoñ meñ aañsū bhar gayā to
koī tum ko bhī tanhā kar gayā to
bajā haq-goī kī 'ādat tumhārī
magar is rāste meñ sar gayā to
gaḌī thiiñ gate par bechain āñkheñ
musāfir lauT kar jab ghar gayā to
baḌā mushkil hai hastī kā safar bhī
kisī āvāz se maiñ Dar gayā to
vahāñ ashjār bhī patthar-ba-kaf the
na.ī bastī meñ shīshagar gayā to
ġhanīmat hai kisī ke dukh meñ ronā
'nadīm' ehsās bhī ye mar gayā to
hasin aankhon mein aansu bhar gaya to
koi tum ko bhi tanha kar gaya to
baja haq-goi ki 'adat tumhaari
magar is raste mein sar gaya to
gaDi thin gate par bechain aankhen
musafir lauT kar jab ghar gaya to
baDa mushkil hai hasti ka safar bhi
kisi aawaz se main Dar gaya to
wahan ashjar bhi patthar-ba-kaf the
nai basti mein shishagar gaya to
ghanimat hai kisi ke dukh mein rona
'nadim' ehsas bhi ye mar gaya to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.