hasin aankhon mein palte hue se Dar dekhe
hasīn āñkhoñ meñ palte hue se Dar dekhe
ki ham ne jalte hue titliyoñ ke par dekhe
balā kī dhund thī kuchh bhī nazar na aatā thā
añdhere phailte ham ne nagar nagar dekhe
sadaf kī baat hai kyā vo guhar bhī pā.egā
utar ke gahre samundar meñ vo agar dekhe
vo aag kyā thī jo bhaḌkī thī kyoñ ḳhudā jaane
ki ham ne jalte hue bastiyoñ meñ ghar dekhe
na jāneñ dard hamārā na dekheñ zaḳhm-e-jigar
ajiib tarah ke kuchh ham ne chārāgar dekhe
kināre kashtī ko le jaa.e nāḳhudā kyūñkar
ki ham ne lahroñ meñ uThte hue bhañvar dekhe
vo ḳhvāb kitnā bhayānak thā chīḳh uTThā maiñ
lahū meñ haath jo apne hī tar-ba-tar dekhe
rah-e-hayāt meñ jo apnā saath chhoḌ ga.e
kuchh is tarah ke bhī ai 'raaj ham-safar dekhe
hasin aankhon mein palte hue se Dar dekhe
ki hum ne jalte hue titliyon ke par dekhe
bala ki dhund thi kuchh bhi nazar na aata tha
andhere phailte hum ne nagar nagar dekhe
sadaf ki baat hai kya wo guhar bhi paega
utar ke gahre samundar mein wo agar dekhe
wo aag kya thi jo bhaDki thi kyon KHuda jaane
ki hum ne jalte hue bastiyon mein ghar dekhe
na jaanen dard hamara na dekhen zaKHm-e-jigar
ajib tarah ke kuchh hum ne chaaragar dekhe
kinare kashti ko le jae naKHuda kyunkar
ki hum ne lahron mein uThte hue bhanwar dekhe
wo KHwab kitna bhayanak tha chiKH uTTha main
lahu mein hath jo apne hi tar-ba-tar dekhe
rah-e-hayat mein jo apna sath chhoD gae
kuchh is tarah ke bhi ai 'raj ham-safar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.