Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasin-e-pir ki mahfil mein diwane nahin aate

Ata Lucknowi

hasin-e-pir ki mahfil mein diwane nahin aate

Ata Lucknowi

MORE BYAta Lucknowi

    hasīn-e-pīr mahfil meñ dīvāne nahīñ aate

    jo sham.eñ bujh chukī haiñ un pe parvāne nahīñ aate

    sar-e-mahfil kabhī chappal vo lahrāne nahīñ aate

    raqīboñ ke saroñ par phuul barsāne nahīñ aate

    bulandī ishq-e-kāmil aur pastī hai havasnākī

    jahāñ andhe pahuñchte haiñ vahāñ kaane nahīñ aate

    tumhārī harkatoñ shaiḳh duniyā meñ charchā hai

    haqīqat jānte haiñ ham ko afsāne nahīñ aate

    ilāhī maskan-e-būm-e-ḳhush-ilhāñ ab kahāñ hogā

    nazar duniyā ke naqsha meñ bhī vīrāne nahīñ aate

    muhāse aur chechak sajāvaT hai vo chehre par

    ki vo ab muft bhī tasvīr khiñchvāne nahīñ aate

    vo hāziq doctor bhī haiñ ba-yak-chashmī ke baa.is se

    marīz us ko kabhī bhūle se dikhlāne nahīñ aate

    hasin-e-pir ki mahfil mein diwane nahin aate

    jo shamen bujh chuki hain un pe parwane nahin aate

    sar-e-mahfil kabhi chappal wo lahrane nahin aate

    raqibon ke saron par phul barsane nahin aate

    bulandi ishq-e-kaamil aur pasti hai hawasnaki

    jahan andhe pahunchte hain wahan kane nahin aate

    tumhaari harkaton ka shaiKH ji duniya mein charcha hai

    haqiqat jaante hain hum ko afsane nahin aate

    ilahi maskan-e-bum-e-KHush-ilhan ab kahan hoga

    nazar duniya ke naqsha mein bhi virane nahin aate

    muhase aur chechak ki sajawaT hai wo chehre par

    ki wo ab muft bhi taswir khinchwane nahin aate

    wo haziq doctor bhi hain ba-yak-chashmi ke bais se

    mariz us ko kabhi bhule se dikhlane nahin aate

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now