hasin hai yak-o-duje ke intiKHab ka rang
hasīn hai yak-o-dūje ke intiḳhāb kā rang
mujhe pasand ho tum aur tumheñ gulāb kā rang
hudūd-e-zabt se aage nikal na jā.ūñ kahīñ
'ayāñ hai chāk-e-garebān se shabāb kā rang
'ajab nahīñ mire ahbāb hoñ mire qātil
ki surḳh surḳh dikhā.ī diyā hai aab kā rang
ḳhayāl aayā mujhe qahqahe lagāte hue
utar na jaa.e tabī'at se iztirāb kā rang
nigāheñ ātish-e-vahshat se jalne vaalī haiñ
jamā huā hai ḳhirad par guzishta ḳhvāb kā rang
zamāne girya-kunāñ hoñ mire masā.ib par
siyāh rakkhā gayā yuuñ mirī kitāb kā rang
shab-e-visāl mirī zaat par ye raaz khulā
chaḌhā thā mom ke paikar pe āftāb kā rang
udāsī ranj-o-alam dard-o-be-kasī aur ġham
kisī bhī rang meñ Dhal jā.egā 'azāb kā rang
janāb-e-qais kī dar-badriyoñ ne baḳhshā hai
hamāre 'ishq-o-mohabbat ko inqilāb kā rang
khaḌe haiñ hosh meñ rindān-e-mai-kada 'mehvar'
nashe meñ mast hai saaqī tirī sharāb kā rang
hasin hai yak-o-duje ke intiKHab ka rang
mujhe pasand ho tum aur tumhein gulab ka rang
hudud-e-zabt se aage nikal na jaun kahin
'ayan hai chaak-e-gareban se shabab ka rang
'ajab nahin mere ahbab hon mere qatil
ki surKH surKH dikhai diya hai aab ka rang
KHayal aaya mujhe qahqahe lagate hue
utar na jae tabi'at se iztirab ka rang
nigahen aatish-e-wahshat se jalne wali hain
jama hua hai KHirad par guzishta KHwab ka rang
zamane girya-kunan hon mere masaib par
siyah rakkha gaya yun meri kitab ka rang
shab-e-visal meri zat par ye raaz khula
chaDha tha mom ke paikar pe aaftab ka rang
udasi ranj-o-alam dard-o-be-kasi aur gham
kisi bhi rang mein Dhal jaega 'azab ka rang
janab-e-qais ki dar-badriyon ne baKHsha hai
hamare 'ishq-o-mohabbat ko inqilab ka rang
khaDe hain hosh mein rindan-e-mai-kada 'mehwar'
nashe mein mast hai saqi teri sharab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.