hasin honge bahut aap sa kidhar koi hai
hasīn hoñge bahut aap sā kidhar koī hai
hameñ dikhā.ī to de shahr meñ agar koī hai
tumhāre jaisī to sūrat nahīñ banā.ī ga.ī
hamāre jaisī bhī kah do agar nazar koī hai
ab aisā vaqt hai jis meñ koī kisī kā nahīñ
hamāre vāste lahore meñ magar koī hai
kisī kā DhūñDhnā tanhā.ī itne logoñ meñ
kisī kā chīḳh ke kahnā vo apne ghar koī hai
kuchh aisā qaht paḌā hai jahāñ meñ phūloñ kā
kisī bayāz meñ ruḳh par na shāḳh par koī hai
gharoñ meñ aur makānoñ meñ farq hotā hai
ise makān hī kahiye miyāñ ye ghar koī hai
na jaane aise ta'alluq kā kyā banegā dost
use hai ḳhauf kisī kā na mujh ko Dar koī hai
'ajīb sūrat-e-ahvāl hai ki ab 'anjum'
tamām din koī na.iiñ aur raat bhar koī hai
hasin honge bahut aap sa kidhar koi hai
hamein dikhai to de shahr mein agar koi hai
tumhaare jaisi to surat nahin banai gai
hamare jaisi bhi kah do agar nazar koi hai
ab aisa waqt hai jis mein koi kisi ka nahin
hamare waste lahore mein magar koi hai
kisi ka DhunDhna tanhai itne logon mein
kisi ka chiKH ke kahna wo apne ghar koi hai
kuchh aisa qaht paDa hai jahan mein phulon ka
kisi bayaz mein ruKH par na shaKH par koi hai
gharon mein aur makanon mein farq hota hai
ise makan hi kahiye miyan ye ghar koi hai
na jaane aise ta'alluq ka kya banega dost
use hai KHauf kisi ka na mujh ko Dar koi hai
'ajib surat-e-ahwal hai ki ab 'anjum'
tamam din koi nain aur raat bhar koi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.