hasin itna laga hum pe muflisi ka libas
hasīn itnā lagā ham pe muflisī kā libās
ki phir banā hī liyā is ko zindagī kā libās
hamāre naap ke milte haiñ ġham ke pairāhan
hamāre naap kā miltā nahīñ ḳhushī kā libās
ye kitnā tang zamāne ne kar diyā is ko
chaḌhā.e chaḌhtā nahīñ tan pe āshiqī kā libās
ujāle din meñ banāte haiñ tīrgī kī qabā
añdhere raat ko silte haiñ raushnī kā libās
na zabt kī ga.ī hastī kī ham se pāmālī
utaar pheñk diyā ham ne naukrī kā libās
maiñ fāqa-mastoñ kī zīnat huuñ muflisoñ kā amiir
maiñ phaTne dūñgā nahīñ tan pe tishnagī kā libās
hasin itna laga hum pe muflisi ka libas
ki phir bana hi liya is ko zindagi ka libas
hamare nap ke milte hain gham ke pairahan
hamare nap ka milta nahin KHushi ka libas
ye kitna tang zamane ne kar diya is ko
chaDhae chaDhta nahin tan pe aashiqi ka libas
ujale din mein banate hain tirgi ki qaba
andhere raat ko silte hain raushni ka libas
na zabt ki gai hasti ki hum se pamali
utar phenk diya hum ne naukri ka libas
main faqa-maston ki zinat hun muflison ka amir
main phaTne dunga nahin tan pe tishnagi ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.