hasin jabin pe mere honT thartharane lage
hasīñ jabīñ pe mire hoñT thartharāne lage
phir is ke baad mire hosh kab Thikāne lage
maiñ ret par bhī tarāshūñ jo ḳhāl-o-ḳhad us ke
sitāre parda kareñ chāñd muñh chhupāne lage
ye ābshār ye bādal ye jhiil kā paanī
use sañvarne ko sab aa.ina dikhāne lage
kabhī jo chheḌā kisī ne bhī tazkira un kā
shajar ḳhamīda hue phuul muskurāne lage
unhoñ ne pūchhā na us kī koī zarūrat thī
ham apnā haal dil-e-muztarib sunāne lage
mire laboñ ne faqat naam hī liyā us kā
parind us kī galī shahr tak batāne lage
maiñ us ke paas jo baiThūñ ulajh paḌe ḳhushbū
charāġh ghūre mujhe aur tilmilāne lage
vo duur āḳhirī kursī pe baiThe baiThe mujhe
dilāsā dene lage hausla baḌhāne lage
ye jaan kar ki tirā but paḌā hai mandir meñ
ḳhudā-parast vahāñ ghanTiyāñ bajāne lage
maiñ us ke shahr se aaya huuñ jaan kar itnā
tamām log mire rāste sajāne lage
jahāñ baserā kiyā panchhiyoñ ne tere liye
hameñ vo ghoñsle pairoñ ke āstāne lage
ye husn ek hī saa.at meñ ban gayā thā miyāñ
ḳhudā ko ishq banāne meñ kuchh zamāne lage
ḳhumār dekhā jo āñkhoñ meñ niiñd kā 'dānish'
zamīñ pe aa ke farishte use sulāne lage
hasin jabin pe mere honT thartharane lage
phir is ke baad mere hosh kab Thikane lage
main ret par bhi tarashun jo KHal-o-KHad us ke
sitare parda karen chand munh chhupane lage
ye aabshaar ye baadal ye jhil ka pani
use sanwarne ko sab aaina dikhane lage
kabhi jo chheDa kisi ne bhi tazkira un ka
shajar KHamida hue phul muskurane lage
unhon ne puchha na us ki koi zarurat thi
hum apna haal dil-e-muztarib sunane lage
mere labon ne faqat nam hi liya us ka
parind us ki gali shahr tak batane lage
main us ke pas jo baiThun ulajh paDe KHushbu
charagh ghure mujhe aur tilmilane lage
wo dur aaKHiri kursi pe baiThe baiThe mujhe
dilasa dene lage hausla baDhane lage
ye jaan kar ki tera but paDa hai mandir mein
KHuda-parast wahan ghanTiyan bajaane lage
main us ke shahr se aaya hun jaan kar itna
tamam log mere raste sajaane lage
jahan basera kiya panchhiyon ne tere liye
hamein wo ghonsle pairon ke aastane lage
ye husn ek hi saat mein ban gaya tha miyan
KHuda ko ishq banane mein kuchh zamane lage
KHumar dekha jo aankhon mein nind ka 'danish'
zamin pe aa ke farishte use sulane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.