hasin KHayal jo paiham unhen satane lage
hasīñ ḳhayāl jo paiham unheñ satāne lage
vo be-ḳhudī se mirī shā.irī sunāne lage
baḌe ġhurūr se kahte the yaad aatī nahīñ
ga.e jo hijr kī vaadī to giḌgiḌāne lage
diyā payām bhī qāsid ko be-qarārī meñ
liyā thā naam ki do hoñT kapkapāne lage
hamārā zikr gavārā na thā kabhī jin ko
hamārī baat pe haule se muskurāne lage
mujhe suḳhan bhī lagā ain apnā ilhāmī
mirī ġhazal jo vo mahfil meñ gungunāne lage
hasin KHayal jo paiham unhen satane lage
wo be-KHudi se meri shairi sunane lage
baDe ghurur se kahte the yaad aati nahin
gae jo hijr ki wadi to giDgiDane lage
diya payam bhi qasid ko be-qarari mein
liya tha nam ki do honT kapkapane lage
hamara zikr gawara na tha kabhi jin ko
hamari baat pe haule se muskurane lage
mujhe suKHan bhi laga ain apna ilhami
meri ghazal jo wo mahfil mein gungunane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.