hasin KHwab ke naqsh-o-nigar kyon TuTe
hasīn ḳhvāb ke naqsh-o-nigār kyoñ TuuTe
ḳhilāf-e-bā'is-e-tā'bīr the so yuuñ TuuTe
maiñ is liye bhī tire sehr meñ abhī tak huuñ
maiñ chāhtā hī nahīñ huuñ tirā fusūñ TuuTe
maiñ haar jā.ūñ magar jiit chhīn luuñ tujh se
ke is maqām pe aa kar mirā junūñ TuuTe
jahān-bhar meñ dikhā.ī de vāhima merā
gire jo ḳhvāb kabhī aañkh se to yuuñ TuuTe
shadīd shor-e-fuġhāñ chār-sū sunā.ī de
sukūt kā jo mire darmiyāñ sutūñ TuuTe
kabhī rakhā hī nahīñ dil ko haath par maiñ ne
kabhī girā hī nahīñ dil to phir ye kyoñ TuuTe
use shikast nahīñ zarf tū samajh us kā
vo tere sāmne ho kar jo sar-nigūñ TuuTe
hasin KHwab ke naqsh-o-nigar kyon TuTe
KHilaf-e-ba'is-e-ta'bir the so yun TuTe
main is liye bhi tere sehr mein abhi tak hun
main chahta hi nahin hun tera fusun TuTe
main haar jaun magar jit chhin lun tujh se
ke is maqam pe aa kar mera junun TuTe
jahan-bhar mein dikhai de wahima mera
gire jo KHwab kabhi aankh se to yun TuTe
shadid shor-e-fughan chaar-su sunai de
sukut ka jo mere darmiyan sutun TuTe
kabhi rakha hi nahin dil ko hath par main ne
kabhi gira hi nahin dil to phir ye kyon TuTe
use shikast nahin zarf tu samajh us ka
wo tere samne ho kar jo sar-nigun TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.