hasin libas mein behad bhala lage hai mujhe
hasīñ libās meñ behad bhalā lage hai mujhe
vo aadmī hai magar devtā lage hai mujhe
kitāb-e-zīst ke aurāq muntashir kar ke
vo apnī zaat se kitnā kaTā lage hai mujhe
ye shorishoñ kā zamāna ye vaar kā mausam
zamīñ se tā-ba-falak chīḳhtā lage hai mujhe
na jaane kab se huuñ rāh-e-safar meñ sargardāñ
vujūd apnā kahīñ bhāgtā lage hai mujhe
galī galī meñ kuchh aisā sukūt chhāyā hai
ki apnī chīḳh bhī ab be-sadā lage hai mujhe
kahāñ se aa.e lahū ġham-zada patangoñ meñ
charāġh-e-shām bhī bujhtā huā lage hai mujhe
gharoñ meñ band raho khiḌkiyāñ bhī mat kholo
ki ab ye shahr bhī aaseb sā lage hai mujhe
maiñ reza-reza huā jā rahā huuñ ai 'parvez'
mirā vujūd bhī bikhrā huā lage hai mujhe
hasin libas mein behad bhala lage hai mujhe
wo aadmi hai magar dewta lage hai mujhe
kitab-e-zist ke auraq muntashir kar ke
wo apni zat se kitna kaTa lage hai mujhe
ye shorishon ka zamana ye war ka mausam
zamin se ta-ba-falak chiKHta lage hai mujhe
na jaane kab se hun rah-e-safar mein sargardan
wujud apna kahin bhagta lage hai mujhe
gali gali mein kuchh aisa sukut chhaya hai
ki apni chiKH bhi ab be-sada lage hai mujhe
kahan se aae lahu gham-zada patangon mein
charagh-e-sham bhi bujhta hua lage hai mujhe
gharon mein band raho khiDkiyan bhi mat kholo
ki ab ye shahr bhi aaseb sa lage hai mujhe
main reza-reza hua ja raha hun ai 'parwez'
mera wujud bhi bikhra hua lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.