hasin mausam mein koi zulf bikhrae to kya hoga
hasīñ mausam meñ koī zulf bikhrā.e to kyā hogā
agar merī nigāh-e-shauq uTh jaa.e to kyā hogā
bhulāne kā maiñ us ko kis tarah vā'da karūñ nāseh
bhulāne par bhī vo zālim jo yaad aa.e to kyā hogā
liye jaatā hai dil mahfil meñ us rashk-e-masīhā kī
ye dard-e-dil agar kuchh aur baḌh jaa.e to kyā hogā
bharosa kar rahe ho un hasīnoñ par magar 'dānish'
ye andāz-e-hasīñ un kā badal jaa.e to kyā hogā
hasin mausam mein koi zulf bikhrae to kya hoga
agar meri nigah-e-shauq uTh jae to kya hoga
bhulane ka main us ko kis tarah wa'da karun naseh
bhulane par bhi wo zalim jo yaad aae to kya hoga
liye jata hai dil mahfil mein us rashk-e-masiha ki
ye dard-e-dil agar kuchh aur baDh jae to kya hoga
bharosa kar rahe ho un hasinon par magar 'danish'
ye andaz-e-hasin un ka badal jae to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.