hasin nahin koi us shoKH dilruba ki tarah
hasin nahin koi us shoKH dilruba ki tarah
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
hasīñ nahīñ koī us shoḳh dilrubā kī tarah
ki jis ke sāmne mahtāb hai suhā kī tarah
habāb-dār nahīñ e.atibār is tan kā
abhī ye ruuh nikal jā.egī havā kī tarah
husūl-e-kār-e-muhaqqiq nahīñ muqallid ko
asā meñ tāqat-e-raftār kab hai pā kī tarah
hayā-o-sharm se parda gayā zamāne kā
kabhī vo but na dikhā.ī diyā ḳhudā kī tarah
hayāt-e-tāza milegī marīz-e-hijrāñ ko
jo ek bosa ināyat karo davā kī tarah
husūd jo haiñ mire dost haiñ tire zālim
rafīq ho ga.e begāne āshnā kī tarah
harīs kī nahīñ duniyā meñ qadr kuchh 'bāqī'
kahāñ magas kī fazīlat huī humā kī tarah
hasin nahin koi us shoKH dilruba ki tarah
ki jis ke samne mahtab hai suha ki tarah
habab-dar nahin eatibar is tan ka
abhi ye ruh nikal jaegi hawa ki tarah
husul-e-kar-e-muhaqqiq nahin muqallid ko
asa mein taqat-e-raftar kab hai pa ki tarah
haya-o-sharm se parda gaya zamane ka
kabhi wo but na dikhai diya KHuda ki tarah
hayat-e-taza milegi mariz-e-hijran ko
jo ek bosa inayat karo dawa ki tarah
husud jo hain mere dost hain tere zalim
rafiq ho gae begane aashna ki tarah
haris ki nahin duniya mein qadr kuchh 'baqi'
kahan magas ki fazilat hui huma ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.