hasin raat ka manzar dikhai deta hai
hasīn raat kā manzar dikhā.ī detā hai
har ik charāġh suḳhanvar dikhā.ī detā hai
ye TimTimāte hue jugnuoñ kā ik halqa
ka.ī sitāroñ se behtar dikhā.ī detā hai
ye kis ke lams ne mad.hosh kar diyā us ko
surūr-yāfta sāġhar dikhā.ī detā hai
jahāñ se zarra barābar bhī kuchh nahīñ dikhtā
vahāñ se saaf tirā ghar dikhā.ī detā hai
usī ko der talak dekhne kī hasrat hai
vo ek chehra jo pal bhar dikhā.ī detā hai
hamārā ishq hai maqbūliyat kī manzil par
kisī ke haath meñ patthar dikhā.ī detā hai
ye kis maqām pe le aaya ulfatoñ kā junūn
shikasta dil bhī subuk-sar dikhā.ī detā hai
ik intizār meñ ġharqāb ho chukā 'hānī'
zamāne bhar ko shanāvar dikhā.ī detā hai
hasin raat ka manzar dikhai deta hai
har ek charagh suKHanwar dikhai deta hai
ye TimTimate hue jugnuon ka ek halqa
kai sitaron se behtar dikhai deta hai
ye kis ke lams ne madhosh kar diya us ko
surur-yafta saghar dikhai deta hai
jahan se zarra barabar bhi kuchh nahin dikhta
wahan se saf tera ghar dikhai deta hai
usi ko der talak dekhne ki hasrat hai
wo ek chehra jo pal bhar dikhai deta hai
hamara ishq hai maqbuliyat ki manzil par
kisi ke hath mein patthar dikhai deta hai
ye kis maqam pe le aaya ulfaton ka junun
shikasta dil bhi subuk-sar dikhai deta hai
ek intizar mein gharqab ho chuka 'hani'
zamane bhar ko shanawar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.