hasin sarapa jamal aankhen
hasīñ sarāpā jamāl āñkheñ
nishān-e-badr-o-hilāl āñkheñ
diloñ kā sabr-o-qarār lūTeñ
hilāl abrū ġhazāl āñkheñ
vo shoḳh maḳhmūr aur chanchal
vo sādgī kī misāl āñkheñ
ye so.e fitne jagā rahī haiñ
zarā tū apnī sañbhāl āñkheñ
nahīñ do-'ālam meñ misl jin kī
vo do 'adīm-ul-misāl āñkheñ
javāb jis kā na thā na hogā
kuchh aisā dilkash savāl āñkheñ
qarīb se bhī qarīb-tar haiñ
hoñ jaise koī ḳhayāl āñkheñ
likhe bhī 'sā'dī' to kyā likhe ab
haiñ jab mujassam kamāl āñkheñ
hasin sarapa jamal aankhen
nishan-e-badr-o-hilal aankhen
dilon ka sabr-o-qarar luTen
hilal abru ghazal aankhen
wo shoKH maKHmur aur chanchal
wo sadgi ki misal aankhen
ye soe fitne jaga rahi hain
zara tu apni sanbhaal aankhen
nahin do-'alam mein misl jin ki
wo do 'adim-ul-misal aankhen
jawab jis ka na tha na hoga
kuchh aisa dilkash sawal aankhen
qarib se bhi qarib-tar hain
hon jaise koi KHayal aankhen
likhe bhi 'sa'di' to kya likhe ab
hain jab mujassam kamal aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.