hasrat-e-lazzat-e-didar liye phirti hai
hasrat-e-lazzat-e-dīdār liye phirtī hai
dar-ba-dar kūcha-o-bāzār liye phirtī hai
faḳhr se bād-e-sabā sahn-e-chaman meñ ai dost
kuchh tirī shoḳhī-e-raftār liye phirtī hai
jān-o-dil hosh-o-ḳhirad aur matā.a-e-īmāñ
kyā kuchh ik nargis-e-bīmār liye phirtī hai
bulbul-e-naġhma-sarā ko bhī mile baar ki vo
nazr ko shoḳhī-e-guftār liye phirtī hai
terī āvāz kī lai naqsh-e-kaf-e-pā kī kashish
qaid meñ naġhma o gulzār liye phirtī hai
ai jafā-kesh tirī kam-nigahī ke sadqe
kitne rusvā sar-e-bāzār liye phirtī hai
in dinoñ jū-e-chaman aks-e-hujūm-e-gul se
kuchh hadīs-e-lab-o-ruḳhsār liye phirtī hai
dosto ko tirī begāna-vashī ai zālim
kis qadar jaan se bezār liye phirtī hai
āj-kal un kī nigāheñ jo phirī haiñ 'naqvī'
har nazar haath meñ talvār liye phirtī hai
hasrat-e-lazzat-e-didar liye phirti hai
dar-ba-dar kucha-o-bazar liye phirti hai
faKHr se baad-e-saba sahn-e-chaman mein ai dost
kuchh teri shoKHi-e-raftar liye phirti hai
jaan-o-dil hosh-o-KHirad aur mataa-e-iman
kya kuchh ek nargis-e-bimar liye phirti hai
bulbul-e-naghma-sara ko bhi mile bar ki wo
nazr ko shoKHi-e-guftar liye phirti hai
teri aawaz ki lai naqsh-e-kaf-e-pa ki kashish
qaid mein naghma o gulzar liye phirti hai
ai jafa-kesh teri kam-nigahi ke sadqe
kitne ruswa sar-e-bazar liye phirti hai
in dinon ju-e-chaman aks-e-hujum-e-gul se
kuchh hadis-e-lab-o-ruKHsar liye phirti hai
dosto ko teri begana-washi ai zalim
kis qadar jaan se bezar liye phirti hai
aaj-kal un ki nigahen jo phiri hain 'naqwi'
har nazar hath mein talwar liye phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.