hasrat-e-saya mein jangal ko take jata hun
hasrat-e-sāya meñ jangal ko take jaatā huuñ
dhuup hai aur maiñ āñchal ko take jaatā huuñ
aisī shikneñ mere īqān meñ kab ā.eñgī
terī peshānī ke gunjal ko take jaatā huuñ
duur jaatī huī gaaḌī kā dhuāñ hai aur maiñ
surḳh hote hue signal ko take jaatā huuñ
apne pahlū meñ chubhī jaatī haiñ patthar kī sileñ
aur tire pahlū ke maḳhmal ko take jaatā huuñ
jab kisī ret kī sūrat hai mirī muTThī meñ
kyoñ guzarte hue har pal ko take jaatā huuñ
ye zamāna bhī yūñhī dekhtā hogā mujh ko
jis tarah maiñ kisī pāgal ko take jaatā huuñ
raunaq-e-shahr kā ik maiñ hī tamāshā.ī huuñ
apne atrāf ke daldal ko take jaatā huuñ
bharī barsāt kī bochhāḌ hai aur maiñ pyāsā
is chhalaktī huī chhāgal ko take jaatā huuñ
hasrat-e-saya mein jangal ko take jata hun
dhup hai aur main aanchal ko take jata hun
aisi shiknen mere iqan mein kab aaengi
teri peshani ke gunjal ko take jata hun
dur jati hui gaDi ka dhuan hai aur main
surKH hote hue signal ko take jata hun
apne pahlu mein chubhi jati hain patthar ki silen
aur tere pahlu ke maKHmal ko take jata hun
jab kisi ret ki surat hai meri muTThi mein
kyon guzarte hue har pal ko take jata hun
ye zamana bhi yunhi dekhta hoga mujh ko
jis tarah main kisi pagal ko take jata hun
raunaq-e-shahr ka ek main hi tamashai hun
apne atraf ke daldal ko take jata hun
bhari barsat ki bochhaD hai aur main pyasa
is chhalakti hui chhagal ko take jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.