hasrat-e-shauq-e-shahadat hai nikal jaane do
hasrat-e-shauq-e-shahadat hai nikal jaane do
Piyare Lal Raunaq Dehlwi
MORE BYPiyare Lal Raunaq Dehlwi
hasrat-e-shauq-e-shahādat hai nikal jaane do
aaj ḳhanjar ko gale par mire chal jaane do
mast ho dīda-e-mai-gūñ se zamāna saarā
tum jo paimāne se aañkh apnī badal jaane do
dil bhī de deñge talabgār haiñ gar dil ke hasīn
pahle chuTkī se kaleja unheñ mal jaane do
roktā kaun hai jaatī hai to jaa.e shab-e-hijr
kaalā muñh karne do kam-baḳht ko Tal jaane do
yād-e-mizhgāñ hī se hāsil hai mujhe lutf-e-ḳhalish
tiir chalte haiñ kaleje pe to chal jaane do
aisā bhī kyā hai abhī aa.e ho jaanā Thero
aur do chaar ghaḌī dil ko bahal jaane do
tā.ir-e-rūh pe aafat qafas-e-jism meñ hai
chār-dīvār-e-‘anāsir se nikal jaane do
aafat aa.egī mohabbat ke gunahgāroñ par
khol kar dete ho kyoñ zulf meñ bal jaane do
maiñ ye kahtā huuñ ki aġhyār kā jaama na pahan
dil ko zid hai ki mujhe bhes badal jaane do
paañv rakhtā hai rah-e-shauq meñ ai hazrat-e-dil
sar ke bal jaatā huuñ maiñ āñkhoñ ke bal jaane do
chhoḌ do kūcha-e-jānāñ kā tasavvur 'raunaq'
dil jo kam-baḳht machaltā hai machal jaane do
hasrat-e-shauq-e-shahadat hai nikal jaane do
aaj KHanjar ko gale par mere chal jaane do
mast ho dida-e-mai-gun se zamana sara
tum jo paimane se aankh apni badal jaane do
dil bhi de denge talabgar hain gar dil ke hasin
pahle chuTki se kaleja unhen mal jaane do
rokta kaun hai jati hai to jae shab-e-hijr
kala munh karne do kam-baKHt ko Tal jaane do
yaad-e-mizhgan hi se hasil hai mujhe lutf-e-KHalish
tir chalte hain kaleje pe to chal jaane do
aisa bhi kya hai abhi aae ho jaana Thero
aur do chaar ghaDi dil ko bahal jaane do
tair-e-ruh pe aafat qafas-e-jism mein hai
chaar-diwar-e-‘anasir se nikal jaane do
aafat aaegi mohabbat ke gunahgaron par
khol kar dete ho kyon zulf mein bal jaane do
main ye kahta hun ki aghyar ka jama na pahan
dil ko zid hai ki mujhe bhes badal jaane do
panw rakhta hai rah-e-shauq mein ai hazrat-e-dil
sar ke bal jata hun main aankhon ke bal jaane do
chhoD do kucha-e-jaanan ka tasawwur 'raunaq'
dil jo kam-baKHt machalta hai machal jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.