hasrat na koi dil mein tamanna na yas hai
hasrat na koī dil meñ tamanna na yaas hai
be-bāt kyoñ na jaane tabī.at udaas hai
har shaḳhs māñgtā hai ḳhirāj-e-ta.alluqāt
jab se hamāre jism pe umda libās hai
kaise kahūñ ki tujh se ta.alluq nahīñ koī
tū hī nahīñ hai paas tirā ġham to paas hai
pahuñchī zarā sī Thes ki TuuTā bikhar gayā
dil kyā hai ek kāñch kā nāzuk gilās hai
ojhal huā nazar se to yādoñ meñ aa basā
vo duur kab huā hai mire dil ke paas hai
shāyad huā hai phir kahīñ shab-ḳhūñ kā tazkira
'zāhid' phir aaj chāñd kā chehrā udaas hai
hasrat na koi dil mein tamanna na yas hai
be-baat kyon na jaane tabiat udas hai
har shaKHs mangta hai KHiraj-e-talluqat
jab se hamare jism pe umda libas hai
kaise kahun ki tujh se talluq nahin koi
tu hi nahin hai pas tera gham to pas hai
pahunchi zara si Thes ki TuTa bikhar gaya
dil kya hai ek kanch ka nazuk gilas hai
ojhal hua nazar se to yaadon mein aa basa
wo dur kab hua hai mere dil ke pas hai
shayad hua hai phir kahin shab-KHun ka tazkira
'zahid' phir aaj chand ka chehra udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.