hasraten betab dil nashad hai
hasrateñ betāb dil nāshād hai
har tamanna mā.il-e-fariyād hai
zindagī sar-tā-ba-pā barbād hai
muḳhtasar sī ishq kī rūdād hai
kū-e-jānāñ kī fazā.eñ kyā kahūñ
har taraf ḳhuld-e-barīñ ābād hai
aap ke zulm-o-sitam ke saath saath
aap kā husn-e-karam bhī yaad hai
hoshiyār ai tā.irān-e-gulsitāñ
bāġhbāñ ke bhes meñ sayyād hai
ham-nashīñ har kaj-samā.at ke liye
zamzama bhī sūrat-e-fariyād hai
mai-kada 'ġhamgīn' jab tak hai javāñ
merā dil har fikr se āzād hai
hasraten betab dil nashad hai
har tamanna mail-e-fariyaad hai
zindagi sar-ta-ba-pa barbaad hai
muKHtasar si ishq ki rudad hai
ku-e-jaanan ki fazaen kya kahun
har taraf KHuld-e-barin aabaad hai
aap ke zulm-o-sitam ke sath sath
aap ka husn-e-karam bhi yaad hai
hoshiyar ai tairan-e-gulsitan
baghban ke bhes mein sayyaad hai
ham-nashin har kaj-samaat ke liye
zamzama bhi surat-e-fariyaad hai
mai-kada 'ghamgin' jab tak hai jawan
mera dil har fikr se aazad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.