hasraten dabti hain un ke hi ishaare dekh kar
hasrateñ dabtī haiñ un ke hī ishāre dekh kar
ruḳh badal jaatā hai maujoñ kā kināre dekh kar
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā hai bahut
shām-e-ġham raushan nazar aa.ī sitāre dekh kar
kyā kaheñ kis kis haqīqat kī vazāhat ho ga.ī
is nazar ke chand mub.ham se ishāre dekh kar
dil ne jo kuchh thā sipurd-e-soz-e-ulfat kar diyā
apnī jānib ātish-e-ġham ke sharāre dekh kar
un kī mahfil un ke jalve un ke altāf-o-karam
aur kyā dekheñgī āñkheñ ye nazāre dekh kar
ham jo kahte the ki duniyā meñ hameñ haiñ ġham nasīb
ro diye apne sivā kuchh ġham ke maare dekh kar
apnā ik TuuTā sahārā yaad aatā hai 'hazīñ'
muḳhtalif 'unvāñ se duniyā ke sahāre dekh kar
hasraten dabti hain un ke hi ishaare dekh kar
ruKH badal jata hai maujon ka kinare dekh kar
Dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut
sham-e-gham raushan nazar aai sitare dekh kar
kya kahen kis kis haqiqat ki wazahat ho gai
is nazar ke chand mubham se ishaare dekh kar
dil ne jo kuchh tha sipurd-e-soz-e-ulfat kar diya
apni jaanib aatish-e-gham ke sharare dekh kar
un ki mahfil un ke jalwe un ke altaf-o-karam
aur kya dekhengi aankhen ye nazare dekh kar
hum jo kahte the ki duniya mein hamein hain gham nasib
ro diye apne siwa kuchh gham ke mare dekh kar
apna ek TuTa sahaara yaad aata hai 'hazin'
muKHtalif 'unwan se duniya ke sahaare dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.