hasraten dil mein bahut lab pe shikayat kai
hasrateñ dil meñ bahut lab pe shikāyāt ka.ī
vaqt kī den haiñ qismat kī ināyāt ka.ī
tum chale aao to in sab ko haqīqat kar deñ
chāñdnī raat ne chheḌī haiñ hikāyāt ka.ī
haa.e vo naqsh ki tajdīd tarāshe jis ko
aur phir noch leñ farsūda rivāyāt ka.ī
dil ke aurāq khañgālo to mileñ bhī tum ko
harf-dar-harf samoī huī āyāt ka.ī
dosto haath na thāmo ki mire siine meñ
jhilmilāte haiñ abhī zaḳhm-e-hidāyāt ka.ī
jaane kis zaḳhm kī rangīn jhalak haiñ 'rāhī'
chand sheroñ meñ tire harf-o-hikāyāt ka.ī
hasraten dil mein bahut lab pe shikayat kai
waqt ki den hain qismat ki inayat kai
tum chale aao to in sab ko haqiqat kar den
chandni raat ne chheDi hain hikayat kai
hae wo naqsh ki tajdid tarashe jis ko
aur phir noch len farsuda riwayat kai
dil ke auraq khangalo to milen bhi tum ko
harf-dar-harf samoi hui aayat kai
dosto hath na thamo ki mere sine mein
jhilmilate hain abhi zaKHm-e-hidayat kai
jaane kis zaKHm ki rangin jhalak hain 'rahi'
chand sheron mein tere harf-o-hikayat kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.