hasraten KHamosh hain ujDe mazaron ki tarah
hasrateñ ḳhāmosh haiñ ujḌe mazāroñ kī tarah
valvale raushan haiñ kyoñ phir bhī sharāroñ kī tarah
kuchh na kuchh to hai dil-e-vahshī tirī āvāz meñ
varna vo kab dekhte the be-qarāroñ kī tarah
kahkashāoñ par bahakte jā rahe haiñ aaj ham
mastiyāñ bikhrī haiñ rāhoñ meñ sitāroñ kī tarah
ye kisī kī zulf bikhrī hai ki bādal chhā.e haiñ
barq lahrātī hai āñchal ke kināroñ kī tarah
rafta-rafta ik qayāmat ban gayā un kā shabāb
vo nikharte hī ga.e rangīñ nazāroñ kī tarah
jām-e-ġham piite bahakte laḌkhaḌāte jhūmte
zindagī kā lutf leñge bāda-ḳhvāroñ kī tarah
hasraten KHamosh hain ujDe mazaron ki tarah
walwale raushan hain kyon phir bhi shararon ki tarah
kuchh na kuchh to hai dil-e-wahshi teri aawaz mein
warna wo kab dekhte the be-qararon ki tarah
kahkashaon par bahakte ja rahe hain aaj hum
mastiyan bikhri hain rahon mein sitaron ki tarah
ye kisi ki zulf bikhri hai ki baadal chhae hain
barq lahraati hai aanchal ke kinaron ki tarah
rafta-rafta ek qayamat ban gaya un ka shabab
wo nikharte hi gae rangin nazaron ki tarah
jam-e-gham pite bahakte laDkhaDate jhumte
zindagi ka lutf lenge baada-KHwaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.