hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah
hasrateñ rotī raheñ dil meñ mujāvir kī tarah
dil magar chup hī rahā lauh-e-maqābir kī tarah
ḳhushk pattoñ kī tarah chhuT ga.e yārān-e-kuhan
phir na palTe kabhī patjhaḌ ke musāfir kī tarah
aa tirī maañg meñ kuchh ashk pirotā jā.ūñ
maiñ to har chhāñv se guzruñgā muhājir kī tarah
maiñ huuñ ik naqsh-e-qadam dasht-e-farāmoshī kā
bhuul jāoge mujhe tum bhī musāfir kī tarah
chāragar duur na jaanā kahīñ jī Dartā hai
aaj kī raat hai gahrī shab-e-āḳhir kī tarah
dushman-e-mehr-o-vafā se koī kartā hai nibāh
kaun chāhegā tujhe tere 'musavvir' kī tarah
hasraten roti rahen dil mein mujawir ki tarah
dil magar chup hi raha lauh-e-maqabir ki tarah
KHushk patton ki tarah chhuT gae yaran-e-kuhan
phir na palTe kabhi patjhaD ke musafir ki tarah
aa teri mang mein kuchh ashk pirota jaun
main to har chhanw se guzrunga muhajir ki tarah
main hun ek naqsh-e-qadam dasht-e-faramoshi ka
bhul jaoge mujhe tum bhi musafir ki tarah
chaaragar dur na jaana kahin ji Darta hai
aaj ki raat hai gahri shab-e-aKHir ki tarah
dushman-e-mehr-o-wafa se koi karta hai nibah
kaun chahega tujhe tere 'musawwir' ki tarah
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 29)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.