hasraton ka hi ye sila hoga
hasratoñ kā hī ye sila hogā
yuuñ hī milnā nahīñ huā hogā
uTh ke aane meñ jald-bāzī kī
us ne kuchh aur bhī kahā hogā
phuul khilne kā intizār to hai
phuul khilne ke baa'd kyā hogā
dekh kar ghar ko kah nahīñ sakte
jaane vaalā yahāñ rahā hogā
kaun kitne qarīb kitne duur
sochne baiThe to burā hogā
maiñ bhī duniyā kī fikr kartī thī
un dinoñ mujh meñ dil rahā hogā
hasraton ka hi ye sila hoga
yun hi milna nahin hua hoga
uTh ke aane mein jald-bazi ki
us ne kuchh aur bhi kaha hoga
phul khilne ka intizar to hai
phul khilne ke ba'd kya hoga
dekh kar ghar ko kah nahin sakte
jaane wala yahan raha hoga
kaun kitne qarib kitne dur
sochne baiThe to bura hoga
main bhi duniya ki fikr karti thi
un dinon mujh mein dil raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.