hasraton mein mujhko uljhaya gaya
hasratoñ meñ mujh ko uljhāyā gayā
jhūTe va.adoñ hī se bahlāyā gayā
ik nazar meñ luT ga.e sabr-o-sukūñ
ik nazar meñ dil kā sarmāyā gayā
mil ga.ī bād-e-sabā ko zindagī
ambarīñ zulfoñ ko lahrāyā gayā
phir milā koī na milne kī tarah
phir vafā kā ahd dohrāyā gayā
raaz terā jis ne bhī jaanā kabhī
daar par us ko hī khiñchvāyā gayā
jo zamāne par na 'raushan' ho sakā
mujh ko aisā raaz samjhāyā gayā
hasraton mein mujh ko uljhaya gaya
jhuTe wadon hi se bahlaya gaya
ek nazar mein luT gae sabr-o-sukun
ek nazar mein dil ka sarmaya gaya
mil gai baad-e-saba ko zindagi
ambarin zulfon ko lahraya gaya
phir mila koi na milne ki tarah
phir wafa ka ahd dohraya gaya
raaz tera jis ne bhi jaana kabhi
dar par us ko hi khinchwaya gaya
jo zamane par na 'raushan' ho saka
mujh ko aisa raaz samjhaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.