hasti-e-haq ke maani jo mera dil samjha
hastī-e-haq ke ma'ānī jo mirā dil samjhā
apnī hastī ko ik andesha-e-bātil samjhā
vo shanāvar huuñ jo har mauj ko sāhil samjhā
vo musāfir huuñ jo har gaam ko manzil samjhā
kāfirī sehr na thī 'ishq-e-butāñ khel na thā
ba-ḳhudā maiñ to isī se use mushkil samjhā
utrā dariyā meñ pa-e-ġhusl jo vo ġhairat-e-gul
shor-e-amvāj ko maiñ shor-e-anādil samjhā
kufr-o-islām kī tafrīq nahīñ fitrat meñ
ye vo nuqta hai jise maiñ bhī ba-mushkil samjhā
shaiḳh ne chashm-e-hiqārat se jo dekhā mujh ko
ba-ḳhudā maiñ use allāh se ġhāfil samjhā
na kiyā yaar ne 'akbar' ke junūñ ko taslīm
mil ga.ī aañkh to kuchh soch ke ‘āqil samjhā
hasti-e-haq ke ma'ani jo mera dil samjha
apni hasti ko ek andesha-e-baatil samjha
wo shanawar hun jo har mauj ko sahil samjha
wo musafir hun jo har gam ko manzil samjha
kafiri sehr na thi 'ishq-e-butan khel na tha
ba-KHuda main to isi se use mushkil samjha
utra dariya mein pa-e-ghusl jo wo ghairat-e-gul
shor-e-amwaj ko main shor-e-anadil samjha
kufr-o-islam ki tafriq nahin fitrat mein
ye wo nuqta hai jise main bhi ba-mushkil samjha
shaiKH ne chashm-e-hiqarat se jo dekha mujh ko
ba-KHuda main use allah se ghafil samjha
na kiya yar ne 'akbar' ke junun ko taslim
mil gai aankh to kuchh soch ke ‘aqil samjha
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 46)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.