hasti ke shajar mein jo ye chaho ki chamak jao
hastī ke shajar meñ jo ye chāho ki chamak jaao
kachche na raho balki kisī rang meñ pak jaao
maiñ ne kahā qaa.il maiñ tasavvuf kā nahīñ huuñ
kahne lage is bazm meñ aao to thirak jaao
maiñ ne kahā kuchh ḳhauf collector kā nahīñ hai
kahne lage aa jaa.eñ abhī vo to dubak jaao
maiñ ne kahā varzish kī koī had bhī hai āḳhir
kahne lage bas is kī yahī had hai ki thak jaao
maiñ ne kahā afkār se pīchhā nahīñ chhuTtā
kahne lage tum jānib-e-mai-ḳhāna lapak jaao
maiñ ne kahā 'akbar' meñ koī rang nahīñ hai
kahne lage she'r us ke jo sun lo to phaḌak jaao
hasti ke shajar mein jo ye chaho ki chamak jao
kachche na raho balki kisi rang mein pak jao
main ne kaha qail main tasawwuf ka nahin hun
kahne lage is bazm mein aao to thirak jao
main ne kaha kuchh KHauf collector ka nahin hai
kahne lage aa jaen abhi wo to dubak jao
main ne kaha warzish ki koi had bhi hai aaKHir
kahne lage bas is ki yahi had hai ki thak jao
main ne kaha afkar se pichha nahin chhuTta
kahne lage tum jaanib-e-mai-KHana lapak jao
main ne kaha 'akbar' mein koi rang nahin hai
kahne lage she'r us ke jo sun lo to phaDak jao
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 97)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.