hasti ko apni ishq ke shayan banaiye
hastī ko apnī ishq ke shāyāñ banā.iye
un kī nazar-nazar ko rag-e-jāñ banā.iye
rūdād-e-dard-e-ishq se hairāñ banā.iye
un ko bhī aaj ashk-ba-dāmāñ banā.iye
darmāñ ko dard dard ko darmāñ banā.iye
sehr-e-nazar se ishq ko hairāñ banā.iye
mahrūm rah sake na koī siina ishq se
phūloñ ko hañs ke chāk-garebāñ banā.iye
jo kuchh matā-e-dil thī shab-e-ġham ne luuT lī
aañsū kahāñ ki zīnat-e-mizhgāñ banā.iye
ye mushkileñ hī asl meñ rāz-e-hayāt haiñ
dushvāriyoñ ko aap na āsāñ banā.iye
kaliyoñ ko ye latīf tabassum kahāñ nasīb
bas ab na chashm-e-shauq ko hairāñ banā.iye
kahtī haiñ pā-e-yār pe sajdoñ kī azmateñ
is kufr hī ko hāsil-e-īmāñ banā.iye
mahdūd-e-auj-e-charḳh na rakhiye kamāl-e-husn
zarroñ ko mehr-o-māh badāmāñ banā.iye
ḳhud ko jo pā gayā hai vo un ko bhī pā gayā
hastī ko apnī manzil-e-jānāñ banā.iye
'nayyar' ba-hadd-e-dasht gulistāñ banā to kyā
apnī nazar nazar ko gulistāñ banā.iye
hasti ko apni ishq ke shayan banaiye
un ki nazar-nazar ko rag-e-jaan banaiye
rudad-e-dard-e-ishq se hairan banaiye
un ko bhi aaj ashk-ba-daman banaiye
darman ko dard dard ko darman banaiye
sehr-e-nazar se ishq ko hairan banaiye
mahrum rah sake na koi sina ishq se
phulon ko hans ke chaak-gareban banaiye
jo kuchh mata-e-dil thi shab-e-gham ne luT li
aansu kahan ki zinat-e-mizhgan banaiye
ye mushkilen hi asl mein raaz-e-hayat hain
dushwariyon ko aap na aasan banaiye
kaliyon ko ye latif tabassum kahan nasib
bas ab na chashm-e-shauq ko hairan banaiye
kahti hain pa-e-yar pe sajdon ki azmaten
is kufr hi ko hasil-e-iman banaiye
mahdud-e-auj-e-charKH na rakhiye kamal-e-husn
zarron ko mehr-o-mah badaman banaiye
KHud ko jo pa gaya hai wo un ko bhi pa gaya
hasti ko apni manzil-e-jaanan banaiye
'nayyar' ba-hadd-e-dasht gulistan bana to kya
apni nazar nazar ko gulistan banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.