hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
hastī koī aisī bhī hai insāñ ke sivā aur
maz.hab kā ḳhudā aur hai matlab kā ḳhudā aur
har jāda-e-manzil meñ hai sajde kī adā aur
ma.abad kī fazā aur hai maqtal kī fazā aur
phir Thahr gayā qāfila-e-dard sunā hai
shāyad koī raste meñ mirī tarah girā aur
ik jur.a-e-āḳhir kī kamī rah ga.ī āḳhir
jitnī vo pilāte ga.e āñkhoñ ne kahā aur
mimbar se bahut fasl hai maidān-e-amal kā
taqdīr ke mard aur haiñ mardān-e-viġhā aur
allāh gila kar ke maiñ pachhtāyā huuñ kyā kyā
jab ḳhatm huī baat kahīñ us ne kahā aur
kitne bhī hoñ kushte maraz-e-hirs-o-havā ke
bīmār kī maut aur hai marg-e-shohadā aur
kyā zer-e-lab ai dost hai iz.hār-e-jasārat
haq ho ki vo nāhaq ho zarā lai to baḌhā aur
ye vahm sā hotā hai mujhe dekh ke in ko
sīrat kā ḳhudā aur hai sūrat kā ḳhudā aur
daulat kā to pahle hī gunahgār thā mun.im
daulat kī mohabbat ne gunahgār kiyā aur
ye daur jo ai 'najm' hai urdu kā muḳhālif
is daur meñ urdu kī huī nashv-o-numā aur
hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
mazhab ka KHuda aur hai matlab ka KHuda aur
har jada-e-manzil mein hai sajde ki ada aur
mabad ki faza aur hai maqtal ki faza aur
phir Thahr gaya qafila-e-dard suna hai
shayad koi raste mein meri tarah gira aur
ek jura-e-aKHir ki kami rah gai aaKHir
jitni wo pilate gae aankhon ne kaha aur
mimbar se bahut fasl hai maidan-e-amal ka
taqdir ke mard aur hain mardan-e-wigha aur
allah gila kar ke main pachhtaya hun kya kya
jab KHatm hui baat kahin us ne kaha aur
kitne bhi hon kushte maraz-e-hirs-o-hawa ke
bimar ki maut aur hai marg-e-shohada aur
kya zer-e-lab ai dost hai izhaar-e-jasarat
haq ho ki wo nahaq ho zara lai to baDha aur
ye wahm sa hota hai mujhe dekh ke in ko
sirat ka KHuda aur hai surat ka KHuda aur
daulat ka to pahle hi gunahgar tha munim
daulat ki mohabbat ne gunahgar kiya aur
ye daur jo ai 'najm' hai urdu ka muKHalif
is daur mein urdu ki hui nashw-o-numa aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.