hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj
hastī meñ us kā jalva ayaañ pā rahā huuñ aaj
dil ko tasavvurāt se bahlā rahā huuñ aaj
mil jaa.e koī baab ḳhushī kā maiñ is liye
phir se kitāb-e-zīst ko dohrā rahā huuñ aaj
ab apnā zarf-e-mai-kashī dikhlāne ke liye
saaqī ke hāthoñ ḳhuub piye jā rahā huuñ aaj
mahfil meñ ḳhaas un kī aqīdat ke vāste
hāthoñ pe apne dil ko liye jā rahā huuñ aaj
manzil pe maiñ huuñ yā ki fareb-e-nazar hai ye
har samt maiñ hī ḳhud ko nazar aa rahā huuñ aaj
un ke marīz-e-hijr ne ye kah ke jaan dī
kal ā.eñge vo dekhne maiñ jā rahā huuñ aaj
'ahmad' zamāna diid kā hai jis kī muntazir
har-sū maiñ us kā jalva ayaañ pā rahā huuñ aaj
hasti mein us ka jalwa ayan pa raha hun aaj
dil ko tasawwuraat se bahla raha hun aaj
mil jae koi bab KHushi ka main is liye
phir se kitab-e-zist ko dohra raha hun aaj
ab apna zarf-e-mai-kashi dikhlane ke liye
saqi ke hathon KHub piye ja raha hun aaj
mahfil mein KHas un ki aqidat ke waste
hathon pe apne dil ko liye ja raha hun aaj
manzil pe main hun ya ki fareb-e-nazar hai ye
har samt main hi KHud ko nazar aa raha hun aaj
un ke mariz-e-hijr ne ye kah ke jaan di
kal aaenge wo dekhne main ja raha hun aaj
'ahmad' zamana did ka hai jis ki muntazir
har-su main us ka jalwa ayan pa raha hun aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.