haT-dharmi ki kahun ki main iman ki kahun
haT-dharmi ki kahun ki main iman ki kahun
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
haT-dharmī kī kahūñ ki maiñ īmān kī kahūñ
apnā karūñ bayāñ ki tirī shaan kī kahūñ
dil meñ ye ab Thanī hai ki īmān kī kahūñ
kuchh kar ke muḳhtasar maiñ tirī shaan kī kahūñ
merī jo vo suneñ kabhī mauqa mujhe mile
sab dil kā haal kaifiyat armān kī kahūñ
pāband-e-dām-e-zulf hai āshufta dil mirā
kyā sarguzasht aise pareshān kī kahūñ
dīvāngī meñ bhī rahe zarb us ke naam kī
maiñ bad-havās ho ke bhī ausān kī kahūñ
kuchh diin kī sunā.ūñ ki duniyā kī dāstān
kuchh qudsiyoñ kī likhkhūñ ki insān kī kahūñ
maiñ dhyān meñ huuñ us ke vo hai rāz-dāñ mirā
kuchh mezbāñ kī likhkhūñ ki mehmān kī kahūñ
yaañ hai bharosa haq pe vahāñ aql par madār
hālat kahūñ gadā kī ki sultān kī kahūñ
haq kahne vāloñ ke liye hai daar kī sazā
ban jaa.e jaan par agar īmān kī kahūñ
maiñ huuñ kitāb-e-ma.arifat-e-haq kā dars-yāb
ab kyā kisī se ved kī qur.ān kī kahūñ
hai 'shād' pur-bahār ye josh-e-junūñ mirā
dāman kī ab kahūñ ki garebān kī kahūñ
haT-dharmi ki kahun ki main iman ki kahun
apna karun bayan ki teri shan ki kahun
dil mein ye ab Thani hai ki iman ki kahun
kuchh kar ke muKHtasar main teri shan ki kahun
meri jo wo sunen kabhi mauqa mujhe mile
sab dil ka haal kaifiyat arman ki kahun
paband-e-dam-e-zulf hai aashufta dil mera
kya sarguzasht aise pareshan ki kahun
diwangi mein bhi rahe zarb us ke nam ki
main bad-hawas ho ke bhi ausan ki kahun
kuchh din ki sunaun ki duniya ki dastan
kuchh qudsiyon ki likhkhun ki insan ki kahun
main dhyan mein hun us ke wo hai raaz-dan mera
kuchh mezban ki likhkhun ki mehman ki kahun
yan hai bharosa haq pe wahan aql par madar
haalat kahun gada ki ki sultan ki kahun
haq kahne walon ke liye hai dar ki saza
ban jae jaan par agar iman ki kahun
main hun kitab-e-marifat-e-haq ka dars-yab
ab kya kisi se wed ki quran ki kahun
hai 'shad' pur-bahaar ye josh-e-junun mera
daman ki ab kahun ki gareban ki kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.