haT ke us rah se jo hai waqf bas inkar ke nam
haT ke us rah se jo hai vaqf bas inkār ke naam
aao phir sher kaheñ gesū-e-dildār ke naam
zahr-e-ġham le to chalā jaañ ko magar tishna-labī
jur.a ik aur tamannā-e-lab-e-yār ke naam
rasm-e-ushshāq hai ye is ko nibhā.eñ ham bhī
varaq-e-jāñ ko likheñ sho.ala-e-ruḳhsār ke naam
vo kare qatl to andesha-e-dushnām nahīñ
har rag-e-jāñ ko kareñ dashna-o-talvār ke naam
shahr-e-pābandī-e-ādāb lagā hukm koī
chāk-dāman hai mirā raunaq-e-bāzār ke naam
chob be-barg sahī daftar-e-shah meñ lekin
phuul khilte hī raheñge sabad-e-dār ke naam
ḳhvāb-zāroñ pe rahe dhuup ke manzar paiham
koī sūraj na jalā qarya-e-bedār ke naam
ham ne 'jamshed' likhe umr ke saare mausam
us ke hoñToñ pe bhaTakte hue iqrār ke naam
haT ke us rah se jo hai waqf bas inkar ke nam
aao phir sher kahen gesu-e-dildar ke nam
zahr-e-gham le to chala jaan ko magar tishna-labi
jura ek aur tamanna-e-lab-e-yar ke nam
rasm-e-ushshaq hai ye is ko nibhaen hum bhi
waraq-e-jaan ko likhen shoala-e-ruKHsar ke nam
wo kare qatl to andesha-e-dushnam nahin
har rag-e-jaan ko karen dashna-o-talwar ke nam
shahr-e-pabandi-e-adab laga hukm koi
chaak-daman hai mera raunaq-e-bazar ke nam
chob be-barg sahi daftar-e-shah mein lekin
phul khilte hi rahenge sabad-e-dar ke nam
KHwab-zaron pe rahe dhup ke manzar paiham
koi suraj na jala qarya-e-bedar ke nam
hum ne 'jamshed' likhe umr ke sare mausam
us ke honTon pe bhaTakte hue iqrar ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.