haT KHamushi se bhi to koi arz-e-haal kar
haT ḳhāmushī se bhī to koī arz-e-hāl kar
kar ke salām un se zarā bol-chāl kar
sunte the nekī kī ho to dariyā meñ Dāliye
par log ḳhush haiñ bojh gunāhoñ kā Daal kar
dil meñ hai sub.h-o-shām bhale tū hī to mire
par baat hogī jo kabhī tū bhī ḳhayāl kar
kyā jāntā thā bujh nahīñ pā.egī ye kabhī
ḳhush thā jo pyaas apnī samundar meñ Daal kar
nikle haiñ yaad karne meñ bas jis ko rāt-din
jā.egā kaise phāñs vo dil kī nikāl kar
jo chup rahā to goyā na ho mauqa' dūsrā
vo sāmne hai bol koī to savāl kar
jiinā ki marnā Thiik mohabbat meñ hai magar
kirdār bechnā paḌe aisā na haal kar
haT KHamushi se bhi to koi arz-e-haal kar
kar ke salam un se zara bol-chaal kar
sunte the neki ki ho to dariya mein Daliye
par log KHush hain bojh gunahon ka Dal kar
dil mein hai subh-o-sham bhale tu hi to mere
par baat hogi jo kabhi tu bhi KHayal kar
kya jaanta tha bujh nahin paegi ye kabhi
KHush tha jo pyas apni samundar mein Dal kar
nikle hain yaad karne mein bas jis ko raat-din
jaega kaise phans wo dil ki nikal kar
jo chup raha to goya na ho mauqa' dusra
wo samne hai bol koi to sawal kar
jina ki marna Thik mohabbat mein hai magar
kirdar bechna paDe aisa na haal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.