haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka
haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
haTā kar dāman-e-gesū dikhā do husn sūrat kā
ki āġhosh-e-musībat meñ mujhe armāñ hai rāhat kā
mire nāloñ se chhoḌā taur zālim ne adāvat kā
duāoñ ko milā malbūs dāmān-e-ijābat kā
zarā to dil ko dil se rabt hone de mohabbat kā
mirī hājat se bar aa.egā matlab terī hājat kā
na niklī muñh chhupā kar ye gulū-e-ḳhushk se ġham meñ
mirī fariyād ne sīkhā asar dar-parda ismat kā
tumhārā dast-e-nāzuk aa gayā jab tauq-e-gardan par
garebān-e-musībat meñ huā paivand rāhat kā
qad-e-mauzūñ pe zulfoñ ne havā se kī jo chālākī
nazar aaya tasalsul saaf āshob-e-qayāmat kā
huā huuñ muntahī ta.alīm pā kar ishq-e-kāmil se
paḌhāo nāseh-e-mushfiq na dībācha nasīhat kā
bahut tadbīr kī lekin na niklā ye mire dil se
ilāhī hausla matlab hai kyā us kī tabī.at kā
tamannā-e-safā.ī kā na kyūñkar ḳhuuñ ho ai zālim
jigar par zaḳhm kaarī paḌ gayā teġh-e-kudūrat kā
zarā do haath meñ haath ai parī-paikar ḳhushī ho kar
sar-e-dast aap kī rāhat se hove vasl rāhat kā
gulistān-e-jahāñ meñ miT ke tujh par ai gul-e-ḳhūbī
tamanna se shagūfa ban gayā huuñ shāḳh-e-ulfat kā
hañsī mujh ko na aa.egī tumhāre gudgudāne se
musībat āshnā ke paas hai kyā kaam rāhat kā
karūñ tadbīr kyā ai ham-nafas kuchh ban nahīñ paḌtī
mirī jānib se dil TuuTā huā hai merī qismat kā
girā jo ashk chashm-e-kilk se dāmān-e-kāġhaz par
nazar aaya mujhe qatra mire āb-e-nadāmat kā
jo likhtā huuñ kabhī mazmūn-e-rāhat yār-e-bad-zan ko
dikhā kar aañkh kyā kyā ghūrtā hai ain usrat kā
karo teġh-e-nigah se qatl aa kar jāñ-nisāroñ meñ
nikal jaa.e kahīñ armāñ mire dil se shahādat kā
haTa kar daman-e-gesu dikha do husn surat ka
ki aaghosh-e-musibat mein mujhe arman hai rahat ka
mere nalon se chhoDa taur zalim ne adawat ka
duaon ko mila malbus daman-e-ijabat ka
zara to dil ko dil se rabt hone de mohabbat ka
meri hajat se bar aaega matlab teri hajat ka
na nikli munh chhupa kar ye gulu-e-KHushk se gham mein
meri fariyaad ne sikha asar dar-parda ismat ka
tumhaara dast-e-nazuk aa gaya jab tauq-e-gardan par
gareban-e-musibat mein hua paiwand rahat ka
qad-e-mauzun pe zulfon ne hawa se ki jo chaalaki
nazar aaya tasalsul saf aashob-e-qayamat ka
hua hun muntahi talim pa kar ishq-e-kaamil se
paDhao naseh-e-mushfiq na dibacha nasihat ka
bahut tadbir ki lekin na nikla ye mere dil se
ilahi hausla matlab hai kya us ki tabiat ka
tamanna-e-safai ka na kyunkar KHun ho ai zalim
jigar par zaKHm kari paD gaya tegh-e-kudurat ka
zara do hath mein hath ai pari-paikar KHushi ho kar
sar-e-dast aap ki rahat se howe wasl rahat ka
gulistan-e-jahan mein miT ke tujh par ai gul-e-KHubi
tamanna se shagufa ban gaya hun shaKH-e-ulfat ka
hansi mujh ko na aaegi tumhaare gudgudane se
musibat aashna ke pas hai kya kaam rahat ka
karun tadbir kya ai ham-nafas kuchh ban nahin paDti
meri jaanib se dil TuTa hua hai meri qismat ka
gira jo ashk chashm-e-kilk se daman-e-kaghaz par
nazar aaya mujhe qatra mere aab-e-nadamat ka
jo likhta hun kabhi mazmun-e-rahat yar-e-bad-zan ko
dikha kar aankh kya kya ghurta hai ain usrat ka
karo tegh-e-nigah se qatl aa kar jaan-nisaron mein
nikal jae kahin arman mere dil se shahadat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.