hatheliyon mein chand ko nihaarne ki dhun mein hun
hatheliyoñ meñ chāñd ko nihārne kī dhun meñ huuñ
zamīñ pe ek āsmāñ utārne kī dhun meñ huuñ
sunā hai koī bhī amal gayā kabhī na rā.egāñ
maiñ dushmanoñ ko dostī se mārne kī dhun meñ huuñ
paḌā huā huuñ is liye maiñ sāhiloñ kī god meñ
lahar ke saath zindagī guzārne kī dhun meñ huuñ
mujhe muaaf mat karo sazā kā mustahiq huuñ maiñ
muqaddaroñ ko aap ke sañvārne kī dhun meñ huuñ
ka.ī gharoñ ko joḌ kar banā.ī thiiñ jo bastiyāñ
unhī gharoñ meñ raushnī utārne kī dhun meñ huuñ
kahāñ najāt mil sakī fareb ke hisār se
maiñ aa.ine meñ aks ko utārne kī dhun meñ huuñ
zavāl se nikāl kar kamāl kī taraf 'asar'
dabī huī hayāt ko ubhārne kī dhun meñ huuñ
hatheliyon mein chand ko nihaarne ki dhun mein hun
zamin pe ek aasman utarne ki dhun mein hun
suna hai koi bhi amal gaya kabhi na raegan
main dushmanon ko dosti se marne ki dhun mein hun
paDa hua hun is liye main sahilon ki god mein
lahar ke sath zindagi guzarne ki dhun mein hun
mujhe muaf mat karo saza ka mustahiq hun main
muqaddaron ko aap ke sanwarne ki dhun mein hun
kai gharon ko joD kar banai thin jo bastiyan
unhi gharon mein raushni utarne ki dhun mein hun
kahan najat mil saki fareb ke hisar se
main aaine mein aks ko utarne ki dhun mein hun
zawal se nikal kar kamal ki taraf 'asar'
dabi hui hayat ko ubhaarne ki dhun mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.