hausle jine ke dil ko bebasi deti rahi
hausle jiine ke dil ko bebasī detī rahī
aarzū pazhmurdagī ko tāzgī detī rahī
maiñ ne apne aage un ko sar uThāne na diyā
hādsoñ ko maat merī sar-kashī detī rahī
rah gayā maiñ nāz-bardārī meñ us kī umr bhar
zindagī mujh ko fareb-e-zindagī detī rahī
ḳhūn-e-dil detā rahā maiñ sham-e-hastī ko sadā
aur ye auroñ ko apnī raushnī detī rahī
ik taraf detī rahī mujh ko ajal apnā payām
ik taraf āvāz mujh ko zindagī detī rahī
gir paḌe qadmoñ pe aa ke taaj shāhoñ ke 'zahīr'
ye vaqār aur shaan azmat sādgī detī rahī
hausle jine ke dil ko bebasi deti rahi
aarzu pazhmurdagi ko tazgi deti rahi
main ne apne aage un ko sar uThane na diya
hadson ko mat meri sar-kashi deti rahi
rah gaya main naz-bardari mein us ki umr bhar
zindagi mujh ko fareb-e-zindagi deti rahi
KHun-e-dil deta raha main sham-e-hasti ko sada
aur ye auron ko apni raushni deti rahi
ek taraf deti rahi mujh ko ajal apna payam
ek taraf aawaz mujh ko zindagi deti rahi
gir paDe qadmon pe aa ke taj shahon ke 'zahir'
ye waqar aur shan azmat sadgi deti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.