hausle rah-e-talab mein mere TuTe aksar
hausle rah-e-talab mein mere TuTe aksar
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
hausle rāh-e-talab meñ mire TuuTe aksar
kārvāñ rāhzanoñ ne mire luuTe aksar
mujh ko sau jaan se paimān-e-vafā hai taslīm
haañ magar hote haiñ va.ade tire jhūTe aksar
is qadar mujh pe navāzish mire sayyād kī hai
maiñ abhī qaid huuñ sāthī mire chhūTe aksar
allah allāh jo āñkheñ tunuk-ābī se haiñ ḳhushk
chashme paanī ke inhīñ āñkhoñ se phūTe aksar
vādī-e-ishq meñ aise bhī haiñ do-chār maqām
dil jahāñ baiTh ga.e hausle TuuTe aksar
hausle rah-e-talab mein mere TuTe aksar
karwan rahzanon ne mere luTe aksar
mujh ko sau jaan se paiman-e-wafa hai taslim
han magar hote hain wade tere jhuTe aksar
is qadar mujh pe nawazish mere sayyaad ki hai
main abhi qaid hun sathi mere chhuTe aksar
allah allah jo aankhen tunuk-abi se hain KHushk
chashme pani ke inhin aankhon se phuTe aksar
wadi-e-ishq mein aise bhi hain do-chaar maqam
dil jahan baiTh gae hausle TuTe aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.