hawa aur raushni zaruri hai
havā aur raushnī zarūrī hai
is liye shā.erī zarūrī hai
saath chaltī haiñ kuchh zarūrateñ bhī
rah meñ bāzār bhī zarūrī hai
bhuul jaa.eñ jise kahīñ rakh kar
chiiz ik kaam kī zarūrī hai
Dūbne vāloñ ke liye bhī to
ek kashtī baḌī zarūrī hai
aur ik chiiz kī kamī hai abhī
aur ik chiiz bhī zarūrī hai
ghar meñ ḳhālī paḌā hai ik kamra
zarā sī be-gharī zarūrī hai
pur kiyā kartī hai jagah ḳhālī
chiiz bekār bhī zarūrī hai
kabhī ḳhālī bhī rakkhā kartā huuñ
sarzanish jeb kī zarūrī hai
hawa aur raushni zaruri hai
is liye shaeri zaruri hai
sath chalti hain kuchh zaruraten bhi
rah mein bazar bhi zaruri hai
bhul jaen jise kahin rakh kar
chiz ek kaam ki zaruri hai
Dubne walon ke liye bhi to
ek kashti baDi zaruri hai
aur ek chiz ki kami hai abhi
aur ek chiz bhi zaruri hai
ghar mein KHali paDa hai ek kamra
zara si be-ghari zaruri hai
pur kiya karti hai jagah KHali
chiz bekar bhi zaruri hai
kabhi KHali bhi rakkha karta hun
sarzanish jeb ki zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.