hawa badalte hi pahli si dilkashi na rahi
havā badalte hī pahlī sī dilkashī na rahī
ye kyā huā ki vo phūloñ meñ tāzgī na rahī
kisī ke dard-e-mohabbat ke baḳhshne kī thī der
phir us ke ba.ad kisī chiiz kī kamī na rahī
ye sochtā huuñ zamāne kā haal kyā hogā
agar diloñ meñ mohabbat kī raushnī na rahī
tire baġhair bhī hañsne ko maiñ hañsā huuñ magar
hañsī kī tarah laboñ par kabhī hañsī na rahī
mirī nigāh meñ 'shāriq' bahār hai kuchh aur
bahār-e-gul pe na jā ye rahī rahī na rahī
hawa badalte hi pahli si dilkashi na rahi
ye kya hua ki wo phulon mein tazgi na rahi
kisi ke dard-e-mohabbat ke baKHshne ki thi der
phir us ke baad kisi chiz ki kami na rahi
ye sochta hun zamane ka haal kya hoga
agar dilon mein mohabbat ki raushni na rahi
tere baghair bhi hansne ko main hansa hun magar
hansi ki tarah labon par kabhi hansi na rahi
meri nigah mein 'shaariq' bahaar hai kuchh aur
bahaar-e-gul pe na ja ye rahi rahi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.