hawa badan mein kisi yaad ki chali jab bhi
havā badan meñ kisī yaad kī chalī jab bhī
mujhe lagā mujhe chhū kar guzar gayā hai koī
maiñ ek barg thā aur peḌ se jhaḌā huā thā
yahāñ vahāñ kī havā mujh ko le ke uḌtī phirī
ga.e huoñ ne palaT kar kabhī nahīñ dekhā
ye jānte hue bhī dil ne zid nahīñ chhoḌī
idhar udhar kī sunī to ḳhayāl baTne lagā
zarā sā shor thamā to fazā badalne lagī
ajiib hālat-e-dil hai ki kuchh ḳhabar hī nahīñ
maiñ dil-girafta nahīñ huuñ to kyoñ ye habs-e-damī
hawa badan mein kisi yaad ki chali jab bhi
mujhe laga mujhe chhu kar guzar gaya hai koi
main ek barg tha aur peD se jhaDa hua tha
yahan wahan ki hawa mujh ko le ke uDti phiri
gae huon ne palaT kar kabhi nahin dekha
ye jaante hue bhi dil ne zid nahin chhoDi
idhar udhar ki suni to KHayal baTne laga
zara sa shor thama to faza badalne lagi
ajib haalat-e-dil hai ki kuchh KHabar hi nahin
main dil-girafta nahin hun to kyon ye habs-e-dami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.