hawa bahut tez chal rahi hai charagh-e-jaan phir bhi jal raha hai
hawa bahut tez chal rahi hai charagh-e-jaan phir bhi jal raha hai
Ghayas Mateen
MORE BYGhayas Mateen
havā bahut tez chal rahī hai charāġh-e-jāñ phir bhī jal rahā hai
ye kaun hai jo hamāre pīchhe havā ke hamrāh chal rahā hai
gumāñ kī bastī meñ rahne vaalo zarā pahāḌī pe chaḌh ke dekho
udhar nadī hai vahīñ se shahr-e-yaqīñ kā rasta nikal rahā hai
sarāb-andar-sarāb tum ho charāġh-andar-charāġh ham haiñ
hamīñ se tārīkiyāñ haiñ ḳhā.if hamīñ se ḳhurshed jal rahā hai
hamāre bachche yahāñ raheñge to āñdhiyoñ meñ ghire raheñge
unheñ yahāñ se nikalnā hogā yahāñ kā manzar badal rahā hai
purānī qabroñ pe aaj kitne na.e makānoñ kī zindagī hai
jo aaj hai bas usī ko dekho vo bhuul jaao jo kal rahā hai
kisī ne shāne pe haath rakh kar jo naam pūchhā 'matīn' apnā
charāġh āñkhoñ meñ jal-bujhe haiñ vajūd saarā pighal rahā hai
hawa bahut tez chal rahi hai charagh-e-jaan phir bhi jal raha hai
ye kaun hai jo hamare pichhe hawa ke hamrah chal raha hai
guman ki basti mein rahne walo zara pahaDi pe chaDh ke dekho
udhar nadi hai wahin se shahr-e-yaqin ka rasta nikal raha hai
sarab-andar-sarab tum ho charagh-andar-charagh hum hain
hamin se tarikiyan hain KHaif hamin se KHurshed jal raha hai
hamare bachche yahan rahenge to aandhiyon mein ghire rahenge
unhen yahan se nikalna hoga yahan ka manzar badal raha hai
purani qabron pe aaj kitne nae makanon ki zindagi hai
jo aaj hai bas usi ko dekho wo bhul jao jo kal raha hai
kisi ne shane pe hath rakh kar jo nam puchha 'matin' apna
charagh aankhon mein jal-bujhe hain wajud sara pighal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.