hawa bhi hai sans bhi rawan hai ajab si phir bhi ghuTan hai koi
hawa bhi hai sans bhi rawan hai ajab si phir bhi ghuTan hai koi
Shaukat Wasti
MORE BYShaukat Wasti
havā bhī hai saañs bhī ravāñ hai ajab sī phir bhī ghuTan hai koī
rihā.ī pā ke bhī yuuñ lage hai musallat-e-jān-o-tan hai koī
nikāl letā hai jo shamīm aur zā.iqa har gul-o-samar se
kamāl kā sāhab-e-mahārat nigāh-dār-e-chaman hai koī
huā thā ik sāneha ki ham ho ga.e the mahrūm rāhbar se
hai sāneha ye digar ki aage jo le chalā rāhzan hai koī
masāfatoñ se na ho sake tai ajiib bāham ye fāsla hai
isī tanāsub se dūr-tar hai qarīb agar nisbatan hai koī
bigaḌ ke tasvīr jāniye ho ga.ī hai tajrīd kā namūna
ujaḌ gayā hai kuchh aisā chehre kā shahr kahiye ki ban hai koī
patā lagānā huā hai dushvār kaun hai ḳhalt-malt kis kā
hai zaat us kī vajūd merā hai jaañ kisī kī badan hai koī
ye kis jagah inhimāk se guftugū kā yuuñ silsila hai jaarī
jahāñ pe ham-zehn-o-ham-zabāñ hai na ham-dam-o-ham-suḳhan hai koī
kahīñ bhī duniyā meñ hoñ mujhe is ḳhayāl se taqviyat rahī hai
mudām ābād shaad rakhe ḳhudā ki merā vatan hai koī
sune haiñ 'shaukat' ḳhayāl kyā kyā ye log dekhe haiñ kaise kaise
kitāb hai baat meñ kisī kī na zaat meñ anjuman hai koī
hawa bhi hai sans bhi rawan hai ajab si phir bhi ghuTan hai koi
rihai pa ke bhi yun lage hai musallat-e-jaan-o-tan hai koi
nikal leta hai jo shamim aur zaiqa har gul-o-samar se
kamal ka sahab-e-mahaarat nigah-dar-e-chaman hai koi
hua tha ek saneha ki hum ho gae the mahrum rahbar se
hai saneha ye digar ki aage jo le chala rahzan hai koi
masafaton se na ho sake tai ajib baham ye fasla hai
isi tanasub se dur-tar hai qarib agar nisbatan hai koi
bigaD ke taswir jaaniye ho gai hai tajrid ka namuna
ujaD gaya hai kuchh aisa chehre ka shahr kahiye ki ban hai koi
pata lagana hua hai dushwar kaun hai KHalt-malt kis ka
hai zat us ki wajud mera hai jaan kisi ki badan hai koi
ye kis jagah inhimak se guftugu ka yun silsila hai jari
jahan pe ham-zehn-o-ham-zaban hai na ham-dam-o-ham-suKHan hai koi
kahin bhi duniya mein hon mujhe is KHayal se taqwiyat rahi hai
mudam aabaad shad rakhe KHuda ki mera watan hai koi
sune hain 'shaukat' KHayal kya kya ye log dekhe hain kaise kaise
kitab hai baat mein kisi ki na zat mein anjuman hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.