hawa bhi nam si hai baadal bhi zar zar sa hai
havā bhī nam sī hai bādal bhī zaar zaar sā hai
tumhārī yaad meñ mausam bhī ashk-bār sā hai
jabīñ ko chhū ki mayassar ho lams kī ThanDak
mire masīhā mujhe raat se buḳhār sā hai
haiñ merī āñkhoñ meñ barsāt dil meñ zaḳhm ke phuul
mizāj ab ke ḳhizāñ kā bhī kuchh bahār sā hai
lo ab to kar lo mirā qais-o-koh-kan meñ shumār
badan bhī chaak hai dāman bhī taar taar sā hai
na us kā sheva na aadat na us kī tarz na taur
par us ke va.ade pe ab bhī kuchh e.atibār sā hai
hawa bhi nam si hai baadal bhi zar zar sa hai
tumhaari yaad mein mausam bhi ashk-bar sa hai
jabin ko chhu ki mayassar ho lams ki ThanDak
mere masiha mujhe raat se buKHar sa hai
hain meri aankhon mein barsat dil mein zaKHm ke phul
mizaj ab ke KHizan ka bhi kuchh bahaar sa hai
lo ab to kar lo mera qais-o-koh-kan mein shumar
badan bhi chaak hai daman bhi tar tar sa hai
na us ka shewa na aadat na us ki tarz na taur
par us ke wade pe ab bhi kuchh eatibar sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.