hawa chalegi to mausam nikhar hi jaega
havā chalegī to mausam nikhar hī jā.egā
kabhī ye habs kā dariyā utar hī jā.egā
kabhī to lauT ke aaoge apne mausam meñ
kabhī ye ishq kā nashsha utar hī jā.egā
visāl-rut jo mayassar nahīñ to kyā ġham hai
tire firāq kā mausam guzar hī jā.egā
najāt pā.eñge ham bhī kabhī dukhoñ se 'munīr'
ye zaḳhm-e-hijr kisī rut meñ bhar hī jā.egā
hawa chalegi to mausam nikhar hi jaega
kabhi ye habs ka dariya utar hi jaega
kabhi to lauT ke aaoge apne mausam mein
kabhi ye ishq ka nashsha utar hi jaega
visal-rut jo mayassar nahin to kya gham hai
tere firaq ka mausam guzar hi jaega
najat paenge hum bhi kabhi dukhon se 'munir'
ye zaKHm-e-hijr kisi rut mein bhar hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.