hawa-e-inqalab-e-dahr se rang-e-chaman badle
havā-e-inqalāb-e-dahr se rang-e-chaman badle
magar mumkin nahīñ tarz-e-ḳhulūs-e-fikr-o-fan badle
bayāñ ke rang lafzoñ kī qabā ke bāñkpan badle
zabāñ tak aate aate dil ne kitne pairahan badle
guzar jaatī hai ye kahtī huī shoḳhī adāoñ kī
tumhārī sādgī se kaun apnā bāñkpan badle
junūñ kī nā-tamāmī par mujhe hairat unheñ uljhan
garebāñ chaak ho jaa.e to māthe kī shikan badle
achānak terī yaad aa.ī to vo aalam huā dil kā
chaman kā rang jaise sub.h kī pahlī kiran badle
hameñ us inqilāb-e-dahr kā muzhda na do jis meñ
na phūloñ kī mahak badle na kāñToñ kī chubhan badle
kahāñ gum ho gayā vo raat kā bhīgā huā lamha
jo tere dil kī ThanDak se mire dil kī jalan badle
hawa-e-inqalab-e-dahr se rang-e-chaman badle
magar mumkin nahin tarz-e-KHulus-e-fikr-o-fan badle
bayan ke rang lafzon ki qaba ke bankpan badle
zaban tak aate aate dil ne kitne pairahan badle
guzar jati hai ye kahti hui shoKHi adaon ki
tumhaari sadgi se kaun apna bankpan badle
junun ki na-tamami par mujhe hairat unhen uljhan
gareban chaak ho jae to mathe ki shikan badle
achanak teri yaad aai to wo aalam hua dil ka
chaman ka rang jaise subh ki pahli kiran badle
hamein us inqilab-e-dahr ka muzhda na do jis mein
na phulon ki mahak badle na kanTon ki chubhan badle
kahan gum ho gaya wo raat ka bhiga hua lamha
jo tere dil ki ThanDak se mere dil ki jalan badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.