hawa-e-shoKH ki aaKHir fusun kari ye kaisi hai
havā-e-shoḳh kī āḳhir fusūñ kaarī ye kaisī hai
aziyyat de ke Tal jaatī hai dildārī ye kaisī hai
baraste haiñ musalsal apne sar āfāt ke patthar
batā ai dil balāoñ kī ḳharīdārī ye kaisī hai
ugī haiñ dhuup kī fasleñ kahīñ saaya nahīñ miltā
shajar-kārī kā dā'vā thā shajar-kārī ye kaisī hai
khaḌī hai apne dāman ko pasāre ġhair ke aage
mire maulā pareshāñ aaj ḳhud-dārī ye kaisī hai
kahīñ ḳhushiyoñ kī kaliyāñ haiñ kahīñ ashkoñ ke buuTe haiñ
hayāt-o-maut ke mābain gul-kārī ye kaisī hai
darīchoñ se shuā.eñ jhāñktī haiñ muskurātī haiñ
ḳhabar to lo pas-e-dīvār bedārī ye kaisī hai
laraztī hai faqat ik lafz kī halkī sī Thokar se
'valī' dil ke makāñ kī chār-dīvārī ye kaisī hai
hawa-e-shoKH ki aaKHir fusun kari ye kaisi hai
aziyyat de ke Tal jati hai dildari ye kaisi hai
baraste hain musalsal apne sar aafat ke patthar
bata ai dil balaon ki KHaridari ye kaisi hai
ugi hain dhup ki faslen kahin saya nahin milta
shajar-kari ka da'wa tha shajar-kari ye kaisi hai
khaDi hai apne daman ko pasare ghair ke aage
mere maula pareshan aaj KHud-dari ye kaisi hai
kahin KHushiyon ki kaliyan hain kahin ashkon ke buTe hain
hayat-o-maut ke mabain gul-kari ye kaisi hai
darichon se shuaen jhankti hain muskuraati hain
KHabar to lo pas-e-diwar bedari ye kaisi hai
larazti hai faqat ek lafz ki halki si Thokar se
'wali' dil ke makan ki chaar-diwari ye kaisi hai
- Book : Izhaar ki faslain (Pg. 21)
- Author : wali madani
- Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.